rahzani ko rahbari samjhe the hum dushmani ko dosti samjhe the hum be-murawwat bewafa sabit hua jis ko mukhlis aadmi samjhe the hum naqsh-e-pa-e-yar pe sar rakh diya bas isi ko bandagi samjhe the hum qatl ki sazish mein hain wo bhi sharik jin ko apni zindagi samjhe the hum jaan lene ki thi ek wo bhi ada jis ko un ki sadgi samjhe the hum yaad-e-mazi mustaqil ek dard hai is ko ab tak aarzi samjhe the hum khun dil ka ho raha tha ai 'ziya' aur us ko bekali samjhe the hum