rakha hai bazm mein usne charagh kar ke mujhe

rakha hai bazm mein us ne charagh kar ke mujhe
abhi to sunna hai afsane raat bhar ke mujhe

ye baat to mere khwab-o-khayal mein bhi na thi
sataenge dar-o-diwar mere ghar ke mujhe

main chahta tha kisi ped ka ghana saya
duaen dhup ne bheji hain sahn bhar ke mujhe

wo mera hath to chhoden ki main qadam modun
bula rahe hain nae raste safar ke mujhe

charagh roe hai jagmag kiya tha jin ka nasib
wo log bhul gae taqche mein dhar ke mujhe

main apne aap mein wahshat ka ek tamasha tha
hawaen phul banati rahin katar ke mujhe

tamam azmaten mashkuk ho gain jaise
wo uthla-pan mila gahrai mein utar ke mujhe

dilon ke beach na diwar hai na sarhad hai
dikhai dete hain sab fasle nazar ke mujhe


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close