rakhna ho to dil ko nigah-e-yar mein rakhna is jins-e-girami ko na bazar mein rakhna hum ahl-e-tamanna ki bas itni hai karamat ek khwab sada dida-e-bedar mein rakhna anjam-e-tarab bhi to tassuf hai so is bar khushiyon ko bhi takhmina-e-azar mein rakhna ab ghar jo banana koi khwabon ki zamin par imkan-e-taghayyur dar-o-diwar mein rakhna nahaq kisi mazlum par utthe to lachak jae ye jauhar-e-nayab bhi talwar mein rakhna ye kiya ki har ek dil mein jagana talab-e-husn aur khud ko nihan parda-e-asrar mein rakhna