rakhta hun dil ko main gham-e-kaun-o-makan se dur

rakhta hun dil ko main gham-e-kaun-o-makan se dur
mera jahan hai kun-fayakun ke jahan se dur

bedad ka khayal hai na khwahish hai dad ki
rahta hun main zamin se dur aasman se dur

ek kunj-e-be-kasi hai meri manzil-e-sukun
ye bhi ujad de to nahin aasman se dur

khamosh hun zamana ke andaz dekh kar
dil se zaban bhi dur hai dil bhi zaban se dur

shayad mere yaqin se tum dur ho gae
mumkin nahin ki rah sako mere guman se dur

mujh ko khabar nahin ki ye duniya-o-din hain kya
parwaz-e-fikr apni hai donon jahan se dur

main jaanta hun un ki masarrat ki talkhiyan
jo ji rahe hain rah ke gham-e-jawedan se dur

baalisht bhar zamin hai meri manzil-e-sukun
ye bhi ujad de to nahin aasman se dur

duniya-o-din hain dozakh-o-jannat ke pher mein
gardish mein meri fikr hai donon jahan se dur

hum bhi ba-qaul 'fani'-e-marhum in dinon
hindostan mein rahte hain hindostan se dur


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close