rakhte the taswiron se diwar-o-dar aabaad aise bhi kuchh shahr hue hain mit mit kar aabaad sar aabaad khayalon se khwabon se nagar aabaad ek jahan hai bahar apne ek andar aabaad ishq tha apni jagah atal samjhauta apni ja ek se dil aabaad raha aur ek se ghar aabaad sagar sagar rone wale ro kar phir muskae raat rahe jo basti viran kare sahar aabaad aao phir se jina sikhen basna basana sikhen jaise parind shajar se hain aur un se shajar aabaad aaj to lagta hai har manzar nach raha hai 'shakir' andar sukh ki dhum machi so bahar hai aabaad