rang-amezi se paida kuchh asar aisa hua khud musawwir apni hi taswir ka shaida hua kya nigahon ki tashaffi ho ki bazm-e-dahr mein samne aata hai har manzar mera dekha hua khol kar aankhen zara ye husn-e-mahr-o-mah dekh did ke qabil hai zarra charkh par pahuncha hua ishq ne is dil ko dam lene ki fursat hi na di ek jab arman nikla dusra paida hua barq ke shoalon munasib hai mujhi ko phunk do kis kaleje se main dekhun aashiyan jalta hua ek wahi apna khuda hai ek wahi hai apna but jis ke dar par sar jhuka dene se sar uncha hua pahuncho gar ek chand par sau aur aate hain nazar aasman jaane hai kitni dur tak phaila hua ab 'falak' hai ek nai duniya ki dil ki justuju ye zamin dekhi hui hai aasman dekha hua