rang-birangi yaadon ka gul-dan bacha hai le de kar mere jine ka bas ek saman bacha hai le de kar khane pine ki sab chizen mahngai ki nazr huin mehmanon ke aage dastarkhwan bacha hai le de kar raddi kaghaz ki qimat mein bachche us ko bech na den ghar mein jo 'ghaalib' ka ek diwan bacha hai le de kar bap ki sari jagiren to bant lin mil kar beton ne man ke hisse mein ghar ka dalan bacha hai le de kar daulat aurat aur shohrat ki diwani is duniya mein mushkil se kuchh logon ka iman bacha hai le de kar kya jaane barsat kategi kaise mere bachchon ki ghar ki dheri mein thoda sa dhan bacha hai le de kar chal kar ab 'didar' wahin par ghar apna aabaad karo ganw mein jo purkhon ka ek khaliyan bacha le de kar