rang-e-gul-e-shagufta hun aab-e-rukh-e-chaman hun main sham-e-haram charagh-e-dair qashqa-e-barahman hun main kasrat-e-jaur-e-yar se sab hain ye mere juzw-e-tan soz-o-malal-o-yas-o-dard ranj-o-gham-o-mehan hun main main hun nasim to bahaar main hun shamim zulf-e-yar go ki nazar se hun nihan dakhil-e-anjuman hun main sarw-nashin aur hain shakh-nashin gul aur hain qumri-e-ashiyan-kharab bulbul-e-be-watan hun main khanda-zanan hain tujh pe go ye khirdan-e-rozgar ahl-e-khirad mein ai 'hawas' raunaq-e-anjuman hun mein