rang-e-sharab se meri niyyat badal gai waiz ki baat rah gai saqi ki chal gai tayyar the namaz pe hum sun ke zikr-e-hur jalwa buton ka dekh ke niyyat badal gai machhli ne dhil pai hai luqme pe shad hai sayyaad mutmain hai ki kanta nigal gai chamka tera jamal jo mahfil mein waqt-e-sham parwana be-qarar hua shama jal gai uqba ki baz-purs ka jata raha khayal duniya ki lazzaton mein tabiat bahal gai hasrat bahut taraqqi-e-dukhtar ki thi unhen parda jo uth gaya to wo aakhir nikal gai