rang hawa se chhut raha hai mausam-e-kaif-o-masti hai phir bhi yahan se hadd-e-nazar tak pyason ki ek basti hai dil jaisa an-mol ratan to jab bhi gaya be-ram gaya jaan ki qimat kya mangen ye chiz to khair ab sasti hai dil ki kheti sukh rahi hai kaisi ye barsat hui khwabon ke baadal aate hain lekin aag barasti hai afsanon ki qindilen hain an-dekhin mehrabon mein log jise sahra kahte hain diwanon ki basti hai