rang par jab wo bazm-e-naz aai hum uthe le ke dard-e-tanhai kis se puchhen tilism-e-hasti mein hum tamasha hain ya tamashai tha gham-e-ishq jaan-gudaz magar kuchh usi gham ne ki masihai hae kis sadgi se sikha hai husn ne ehtimam-e-ranai aakhir-e-shab zaban-e-shama pe hai dastan-e-hujum-e-tanhai chand khunin-jigar hue ruswa muskuraya chaman bahaar aai chup rahe hum to khun hua dil ka baat ki hai to aankh bhar aai hae is daur-e-aql-o-danish ne kar diya aadmi ko saudai hum chaman mein na the to khud hi 'rawish' bu-e-gul dasht tak chali aai