rang se rang milata hua jata hua tu kahkashan ek banata hua jata hua tu dur se teri taraf bhag ke aata hua main dur se hath hilata hua jata hua tu aage aage main khad-o-khal banata jaun pichhe pichhe wo mitata hua jata hua tu sone walon ko nae khwab muhayya kar ke sabz qindil jalata hua jata hua tu panw padta hua rota hua girta hua main aur mera hath chhudata hua jata hua tu meri khwahish thi ki barbaad karun main khud ko meri khwahish ka batata hua jata hua tu sakht mayus pasheman guzarta hua main muskuraata hua gata hua jata hua tu jitni aankhen hain wo hairan hui jati hain aur mere sher sunata hua jata hua tu jaise nakaam koi shakhs ho waise 'sahir' ek cigarette ko jalata hua jata hua tu