rang tabir ka tute hue khwabon mein nahin chhanw ka lams kahin jaise sarabon mein nahin kar diya sahir-e-tahzib ne patthar in ko chehre lamhon ke wo resham ki naqabon mein nahin aa ke sahil pe hawas ke na yun maujon se daro rang gahrai mein paoge hababon mein nahin ang ang us ka tha ek nile nashe mein duba abadi kaif wo botal ki sharabon mein nahin meri ek baat pe kin us ne hazaron baaten husn-e-maqsud magar us ke jawabon mein nahin ab to aaseb musallat hai yahan hasrat ka aas ki koi pari dil ke kharabon mein nahin us se takra ke bikharne mein jo lazzat hai 'salim' is qadar hazz-e-shikast aur azabon mein nahin