rangon ki barsat thi kaisi phagan mein phul khile the kali kali ghar aangan mein ab tak us ki yaad mein tan-man jalta hai dhoka mujh ko jis ne diya tha sawan mein janam maran ka chakkar kab pura hoga sadiyan bit gai hain aawan jawan mein aankhen nis-din nir bahati rahti hain aag lagi hai kaisi mere tan-man mein us ka badan to aainon ko sharmae kyon wo mukhda dekh rahi thi darpan mein jal-thal jal-thal umad ghumad barse baadal pyas miti nahin phir bhi meri sawan mein kaun ujale le kar mere ghar aaya dhup utar aai hai mere aangan mein jab chahegi phan ko utha kar das legi amrit pae kaise koi nagan mein badal gae aasebon mein wo chehre kyon dekhe jin ke khwab suhane bachpan mein dar aur zulm ka yaro koi ant nahin khud ko dhund rahe hain log ab rawan mein 'raj bahut mushkil hai lena sukh ka sans dukh ne aisa jakad liya hai bandhan mein