rangon mein zist karne ka saman de gaya

rangon mein zist karne ka saman de gaya
gul ko mahak mahak ko gulistan de gaya

mahdud soch thi meri diwaron mein padi
mere khayalon ko nae wijdan de gaya

chehra dikha gaya hai mujhe duniya ka koi
shisha dikha ke apnon ki pahchan de gaya

dars-e-wafa ki karta tha tabligh jo hamein
padhne ko phir ghamon ke wo diwan de gaya

jari hua mahak jo samundar hai palkon se
khamosh aankhen thin meri tufan de gaya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close