ranj-e-duniya fikr-e-uqba jaane kya kya dil mein hai zindagi do din ki apni saikdon mushkil mein hai rah-e-ulfat mein bahut kuchh khak bhi chhani magar meri jaanib se ghubar ab tak kisi ke dil mein hai wo jafa-pesha jafa-ju hai jafa us ki sarisht jis ko kahte hain wafa wo mere aab-o-gil mein hai tah-nashin ho kar mili mauj-e-hawadis se najat kashti-e-umr-e-rawan ab daman-e-sahil mein hai sakht-jaani se meri pala agar padta use dekhta phir zor kitna bazu-e-qatil mein hai apni apni ga rahe hain donon shaikh-o-barahman dair-o-kaba mein kahan hai jo harim-e-dil mein hai marhale har roz insan ko nae aate hain pesh aaj us manzil mein hai kal dusri manzil mein hai kuchh to pas-e-husn kuchh un ki nazar ka samna wo zaban par la nahin sakta jo mere dil mein hai jaanta hun go maal-e-hazrat-e-adam magar ku-e-jaanan ki tamanna phir bhi mere dil mein hai dekhiye aaina-e-piri mein phir bachpan ka haal ahd-e-mazi ki jhalak kuchh ahd-e-mustaqbil mein hai soch kar fariyaad ka anjam main khamosh hun warna ab bhi quwwat-e-fariyaad mere dil mein hai hai shikast-e-be-sutun mear-e-istedad-e-ishq kohkan ka nam fard-e-jauhar-e-qabil mein hai ishq-e-majnun ne kuchh uncha kar diya meyar-e-husn warna laila ki haqiqat parda-e-mahmil mein hai koi hai saghar-ba-kaf koi surahi-dar-baghal tishna-kaam ab tak magar 'shoala' teri mahfil mein hai