ranj-e-na-asudgi karb-e-hunar dekhega kaun naqsh-e-faryaadi hai kis ka dida-war dekhega kaun jumbish-e-lab hi se khul jaega mani ka bharam us ke harf-na-shanida ka asar dekhega kaun apni duniya tak rakho mahdud parwazen abhi nilgun pahnaiyon mein baal-o-par dekhega kaun apne kamre ka koi gul-dan khali kyun rahe phul kaghaz ke saja lo sungh kar dekhega kaun ek khilauna tod kar chalti bani pagal hawa ab ye reza reza paikar jod kar dekhega kaun kitni tahzibon ka madfan hai hamari zindagi jagmagae shahr mein lekin khandar dekhega kaun