ranj-o-gham se mera rabta ho gaya

ranj-o-gham se mera rabta ho gaya
zindagi kya hui hadisa ho gaya

dur itna gaya main mujhe dhundne
khud ke andar hi main lapata ho gaya

tha wo guzra jahan se hun main bhi wahin
naqsh-e-pa hi mera rasta ho gaya

zakhm dil par sahe hon hazaron agar
kya hua panw mein aabla ho gaya

kya ajab dastan teri meri rahi
pas aate rahe fasla ho gaya

hath se apne jis ko tarasha gaya
wo hi patthar mera ab khuda ho gaya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close