ranjish teri har dam ki gawara na karenge ab aur hi mashuq se yarana karenge bandhenge kisi aur hi jode ka tasawwur sar dhyan mein us zulf ke mara na karenge imkan se kharij hai ki hun tujh se mukhatib hamnam ko bhi tere pukara na karenge yak bar kabhi bhule se aa jaen to aa jaen lekin guzar is ghar mein dobara na karenge kya khub kaha tu ne jo kholun abhi aaghosh milne se mere aap kinara na karenge go khak mein mil jaen hum aur waza badal jaen par tujh se mulaqat khud-ara na karenge us nargis-e-'bimar' se rakhte hain shabahat hargiz su-e-abhar bhi ishaara na karenge