raqs mein aaj chaarpai hai khatmalon ki baraat aai hai aaj bistar zamin par kar len ye chughul-khor chaarpai hai aaen 'ghaalib' bhi to kahan baithe tat hai ghar mein na chatai hai us ne chappal bhi chum kar mari ye bhi andaz-e-dil-rubai hai dekh kar mujh ko hans pade hain wo kis qadar dard-ashnai hai muskuraate hain galiyan sun kar ye siyasat ki be-hayai hai basi roti hi waqt par de do ye bafati bhi ghar jamai hai 'be-takalluf' rakhenge yaad sabhi jo hazal aap ne sunai hai