ras aai bhi to aai shan-e-mastana mujhe

ras aai bhi to aai shan-e-mastana mujhe
sari duniya kah rahi hai un ka diwana mujhe

dil bhi kashana hai tera us ki diwani na dekh
phir jalana hai charagh-e-mehman-khana mujhe

ghuncha-e-nauras se dhalne ko hai tahrik-e-hayat
gudgudati hai shamim-e-subh-e-mai-khana mujhe

ishq ki waraftagi bhi ek tilism-e-raaz hai
khud haram ne bakhsh di jagir-e-but-khana mujhe

al-madad ai tabnaki-e-jamal-e-ru-e-dost
nagawar-e-did hain wo be-hijabana mujhe

dur se nazren bacha kar jab guzarti hai bahaar
gulsitan malum hota hai aza-khana mujhe

khud meri hasti hai 'mahir' aalam-e-anwar-e-husn
jalwa-gah-e-dost hun samjho khuda-khana mujhe


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close