ras aai na koi rahguzar waqt laga hae bekar gaya mera safar waqt laga zakhm ghulte hain yahan waqt ki guzaran se gar ras aaegi ye tanhai agar waqt laga main bhari duniya mein kahta tha tujhe apna kabhi khul gai ramz-e-shanasai magar waqt laga dil ki tanhai kisi taur bhi jaane ki nahin waise ka waisa hai ye zakhm-e-jigar waqt laga ek jamaat ne mere bughz mein kya kya na kiya kab mera zarf hua zer-o-zabar waqt laga us ne kun kah ke bana dali ye duniya sari hum se ban paya na ek adna sa ghar waqt laga