rasm-e-duniya ko nibhate jaiye gham ko sine se lagate jaiye bazla-sanji se na baz aae agar hum na lautenge bulate jaiye hukm-e-nau ek aur jari ho gaya chot kha kar muskuraate jaiye khak nazron mein hamari jhonkiye khak mein hum ko milate jaiye aaina ho kar rahungi aap ka meri nazron mein samate jaiye zulmat-e-shab ko saja kar taq par ek diya khud bhi jalate jaiye hai uthane ki sakat jo aap mein tohmat-e-duniya uthate jaiye ratjage 'raziya' se ab hain multamis yaad ko apni sulate jaiye