raste mein lut gaya hai to kya qafila to hai yaro nae safar ka abhi hausla to hai wamandgi se uth nahin sakta to kya hua manzil se aashna na sahi naqsh-e-pa to hai hathon mein hath le ke yahan se guzar chalen qadmon mein pul-siraat sahi rasta to hai mange ki raushni to koi raushni nahin is daur-e-mustaar mein apna diya to hai ye kya zarur hai main kahun aur tu sune jo mera haal hai wo tujhe bhi pata to hai apni shikayaten na sahi tera gham sahi izhaar-e-dastan ka koi silsila to hai hum se koi talluq-e-khatir to hai use wo yar ba-wafa na sahi bewafa to hai wo aae ya na aae mulaqat ho na ho rang-e-sahar ke pas khiram-e-saba to hai panw ki chap se meri dhadkan hai ham-nawa is dasht-e-haul mein koi naghma-sara to hai suraj hamare ghar nahin aaya to kya hua do-chaar aanganon mein ujala hua to hai kanta nikal bhi jaega jab waqt aaega kante ke dil mein bhi koi kanta chubha to hai main reza reza udta phirunga hawa ke sath sadiyon mein jhank kar bhi mujhe dekhna to hai aashob-e-agahi ki shab-e-be-kanar mein tere liye 'jamil' koi sochta to hai