raunaq hi nahin us ki hum ruh-o-rawan bhi hain lekin hamein duniya ki khatir pe garan bhi hain ek tere hi kuche par mauquf nahin hai kuchh har gam hain taziren hum log jahan bhi hain gulchin ko nahin shayad is raaz se aagahi shabnam mein nahae gul shoalon ki zaban bhi hain khate the qasam jin ke kirdar-o-amal ki hum shamil saf-e-ada mein wo ham-nafasan bhi hain sach kahte ho hum aise zarron ki haqiqat kya ab kaun kahe tum se hum sang-e-giran bhi hain