raunaqon par hain bahaaren tere diwanon se

raunaqon par hain bahaaren tere diwanon se
phul hanste hue nikle hain nihan-khanon se

lakh armanon ke ujde hue ghar hain dil mein
ye wo basti hai ki aabaad hai viranon se

lala-zaron mein jab aati hain bahaaren saqi
aag lag jati hai zalim tere paimanon se

ab koi dair mein ulfat ka talabgar nahin
uth gai rasm-e-wafa hae sanam-khanon se

pas aate gae jis darja bayabanon ke
dur hote gae hum aur bayabanon se

ab ke hamrah guzarenge junun ka mausam
damanon ki ye tamanna hai garebanon se

is zamane ke wo mai-nosh wo badmast hain hum
parsa ho ke nikalte hain jo mai-khanon se

hae kya chiz hai kaifiyat-e-soz-e-ulfat
koi puchhe ye tere sokhta-samanon se

phir bahaar aai junun-khez hawaen le kar
phir bulawe mujhe aate hain bayabanon se

khak kis mast-e-mohabbat ki hai saqi in mein
ki mujhe bu-e-wafa aati hai paimanon se

ghair ki maut pe wo rote hain aur hum 'afsar'
zahr pite hain chhalakte hue paimanon se


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close