raushni aur andheron ke safar ka jadu dekhta rahta hun main sham-o-sahar ka jadu rahbar-o-rahzan-o-rahguzar ka jadu kitne jadu ka tamasha hai safar ka jadu so gae chand sitare to jaga hai suraj kar gaya raat ko din pichhle pahar ka jadu aasman par nahin kaam aaya karishma us ka ho gaya ru-ba-zamin shams-o-qamar ka jadu khushk ho jata hai dariya bhi asar se us ke tum ne dekha hi nahin dida-e-tar ka jadu aao mil jaen kabhi phir na bichhadne ke liye hum bhi dikhlaen zara shir-o-shakar ka jadu