raushni hasb-e-zarurat bhi nahin mangte hum raat se itni suhulat bhi nahin mangte hum dushman-e-shahr ko aage nahin badhne dete aur koi tamgha-e-jurat bhi nahin mangte hum sang ko shisha banane ka hunar jaante hain aur is kaam ki ujrat bhi nahin mangte hum kisi diwar ke sae mein thahar lene de dhup se itni riayat bhi nahin mangte hum sari dastaron pe dhabbe hain lahu ke 'azhar' aise kufe mein to izzat bhi nahin mangte hum