rawan hai mauj-e-fana jism o jaan utar mujhe utar ab ke sar-e-asman utar mujhe mera wajud samundar ke iztirab mein hai ki khul raha hai tera baadban utar mujhe bahut aziz hun kharan-e-taza-kar ko main bahut udas hai dasht-e-jawan utar mujhe koi jazira jahan hast-o-bud ho na fana wajud ho na zamana wahan utar mujhe