rawan hai mujh mein abhi tak wo intiqam ki sham tere baghair guzari jo tere nam ki sham thahar gai hai yun mujh mein tere khiram ki sham ki jaise gard-e-safar mahw ho qiyam ki sham sitara-zad ne jis shab jabin ko chuma tha tawil guzri thi us shab ke intizam ki sham ye maslahat ka taqaza hai ya junun mera guzar di hai safar mein jo thi qiyam ki sham jise zamana-e-tauhid subh kahta hai wo asal mein hai mere aakhiri imam ki sham haqiqi sajdon ki qimat bata gai hum ko wo zer-e-tegh namazon ke ehtimam ki sham wo kaise raat mein hamrah ho gaya 'tariq' wo ek khwab mila tha jo mujh se sham ki sham