rawish rawish par junun ke aage khirad ke zalim maqam kab tak jhuki jhuki si nazar kahan tak ruka ruka sa khiram kab tak ye ehtiyat-e-karam kahan tak ye zahmat-e-gam-gam kab tak nafas nafas mein payam kab tak nazar nazar mein salam kab tak ye bandagi hai to bandagi ka fareb ruswa-e-am kab tak labon pe subhen to hain musallam magar ye sinon mein sham tak ruki si aahen jhuki nigahen wahi haqiqat wahi fasana sukut tera sukut kab tak kalam tera kalam kab tak tere kinare na tere dhaare teri halakat nahin to kya hai tere safinon se sahilon par ye mauj ka intiqam kab tak yahi jamal-e-gul-o-sukhan hai to aa chaman se dhuan uthawen rawish rawish par bichhe rahenge ye lala-o-gul ke dam kab tak na dosh-e-tufan na aashiyana na bijliyon par kamand teri yahi chaman hai to is chaman mein tere nasheman ka nam kab tak na nur tera na aag teri rabab tute sharab chhuti ye zulmat-e-anjuman kahan tak ye tohmat-e-jam-jam kab tak agar na barham hon ahl-e-mahfil to ahl-e-mahfil se 'shor' puchhun koi bata de ki mere honton pe us ka naghma haram kab tak