reg-e-sahra ki rawani dekh kar pyas badh jati hai pani dekh kar zindagi ki wusaten achchhi lagin sahilon ki be-karani dekh kar khud ko thoda sa badalna chahiye mausamon ki bad-gumani dekh kar yaad aata hai mujhe chehra tera shakh mein barg-e-khizani dekh kar phir dar-o-diwar ki khwahish hui umr bhar ki la-makani dekh kar