rifat kabhi kisi ki gawara yahan nahin

rifat kabhi kisi ki gawara yahan nahin
jis sar-zamin ke hum hain wahan aasman nahin

do roz ek waza pe rang-e-jahan nahin
wo kaun sa chaman hai ki jis ko khizan nahin

ibrat ki ja hai lakhon hi tifl o jawan nahin
piri mein bhi khayal ajal ka yahan nahin

dushman agar wo dost hua hai to kya ajab
yan e'timad-e-dosti-e-jism-o-jaan nahin

raftar naz mein ye lachak jati hai ki bas
goya teri kamar mein sanam ustukhan nahin

munim ke shukr mein bhi hilaen kabhi kabhi
tanha barae-lazzat-e-duniya zaban nahin

pazhmurda ek hai to shagufta hai dusra
bagh-e-jahan mein fasl-e-bahaar-o-khizan nahin

jin ke suron par aap magas-raan rahe huma
un ka lahad mein aaj koi ustukhan nahin

dhoka na kha zuruf-e-wazu ko tu dekh kar
masjid hai mai-farosh ki 'nasikh' dukan nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close