riha karna nahin un ko unhen aabaad rakhna hai

riha karna nahin un ko unhen aabaad rakhna hai
sunahri khwahishon ko qaid mein dil-shad rakhna hai

wo din bhi yaad rakhna hai abhi jo kal hi bita hai
jo ab mazi ka hissa hai hamesha yaad rakhna hai

khuda khud bastiyon ke faisle karta hai hikmat se
kise aabaad rakhna hai kise barbaad rakhna hai

bahut se log aaenge tumhaari zindagani mein
magar har-dam kisi ke khal-o-khad ko yaad rakhna hai

koi mausam ho koi imtihan-e-ranj-o-rahat ho
hamein to 'shahida' har haal mein dil-shad rakhna hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close