rindon ko tere aarzu-e-khushk-labi hai ab ai nigah-e-mast tu kya dhund rahi hai mansukh hai is daur mein har rasm-e-gireban ab mashghala-e-ahl-e-junun sina-zani hai shahzada-e-mani koi aae to jagae shaer ka takhayyul bhi to khwabida pari hai muddat se thi aawara wo pahnae-faza mein khak-e-rah-e-anjum jo mere sar pe padi hai har khar hai ghaltida-ba-khun dasht-e-wafa mein ai sang-e-rah-e-yar kise thes lagi hai