rishta-e-dil bhi kisi din khwab sa ho jaega tere mere darmiyan wo fasla ho jaega pili pili rut judai ki achanak aaegi qurbaton ka sabz mausam bewafa ho jaega aaine rangon ke khali chhod jaegi dhanak hairaten rah jaengi manzar juda ho jaega kya nishana thik baithega hawa-e-tez mein jo kaman se tir niklega khata ho jaega teri peshani pe bhi pad jaenge talkhi se bal meri sachchi baat par tu bhi khafa ho jaega ghar se niklunga hatheli par liye ujla charagh ilm hai kali hawa ka samna ho jaega aane wale jaane walon ka badal hote nahin par nahin hoga jo paida ek khala ho jaega tut jaega dar-e-diwar-e-zindan ka ghurur ek aawaz aaegi qaidi riha ho jaega main nahin to aur hi baithega koi chhanw mein aaj ka chhota sa buta kal bada ho jaega aastinon se nikalenge jiyale aaftab bol-baala raushni ke shahr ka ho jaega chand ko dhundengi aankhen phir na suraj ko 'rashid' chand-suraj se talluq dusra ho jaega