rishta-e-rasm-e-mohabbat mat tod tod kar dil ko qayamat mat tod kaam-e-nakaami bhi ek kaam sahi tod ummid ko himmat mat tod raat furqat ki padi hai ai dil ek hi nale mein taqat mat tod us ki rahmat ko na be-kar samajh mai-o-maikhane ki niyyat mat tod dekh achchhi nahin ye khar-masti saghar-e-baada-e-fursat mat tod ai dil ummid-e-rihai mat bandh aur aafat sar-e-afat mat tod puchh mat lazzat-e-mai ai waiz jaanwar dam-e-shariat mat tod sehan-e-masjid ko kiye ja pamal qaid-e-ain-e-tariqat mat tod mai-kada dekh ke jannat ko na bhul hirs se band-e-qanaat mat tod is ka ehsan uthana hai hamein gardan ai bar-e-nadamat mat tod ai 'qalaq' but-kade mein bandh ehram hum se lillah rifaqat mat tod