rote dekha unhen aakhiri mein 'umr-bhar jo rahe gumrahi mein ab dawa do ke zahr-e-halahil hum to khush hain tumhaari khushi mein khubiyan to bahut si hain lekin bas murawwat nahin aadmi mein zehn-o-dil jis se ho jae raushan aisa mazmun ho sha'iri mein kuchh na kuchh to ghalat-fahmiyan hain farq kyon aa gaya dosti mein koi puchhe zara 'ashiqon se lutf milta hai kya 'ashiqi mein juz mohabbat ke 'faruq-adil’ kuchh bhi rakkha nahin zindagi mein