rote hain jab bhi hum december mein

rote hain jab bhi hum december mein
jam se jate hain gham december mein

jo hamein bhul hi gaya tha use
yaad aae hain hum december mein

sare shikwe-gile bhula ke ab
laut aa ai sanam december mein

kis ka gham khae ja raha hai tumhein
aankh kyun hai ye nam december mein

yaad aata hai wo bichhadna jab
khub roe the hum december mein

wahi pal hai wahi hai sham-e-hazin
aaj phir bichhde hum december mein

bas yahi ek tamanna hai 'indar'
kash mil jaen hum december mein


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close