roz aati hai ek sada mujh mein kaun rahta hai main siwa mujh mein kyon ye hangama hai bapa mujh mein kya koi khwab mar gaya mujh mein kyon use dhundun aasman ke par hai yaqin rah raha khuda mujh mein sans leta hun dard hota hai kya koi hadisa hua mujh mein karb ki aag mein jala hai badan zindagi aa mujhe bacha mujh mein man ne raushan ise kiya 'tariq' kaise bujh paega diya mujh mein