roz-e-awwal hi khata-kar banaya gaya hun aur phir ashraf-e-makhluq bataya gaya hun tutne aur bikharne pe hai wawaila kyon dekhiye kitni bulandi se giraya gaya hun ikhtiyaraat se taqdir se kya lena hai waqt ki gard mein tinka sa udaya gaya hun zindagi ek dagar par hi kahan chalti hai kabhi diwar kabhi dil se lagaya gaya hun donon hathon se lutate hue ye to sochen kitni mehnat se mohabbat se kamaya gaya hun main na yusuf hun na hai koi kharidar mera jaane kya soch ke bazar mein laya gaya hun imtihan dene talak yaad jinhen rakha jae un sawalat ki manind bhulaya gaya hun nok-e-khanjar se sahi waqt ke hathon lekin gudgudi kar ke kai bar hansaya gaya hun is zamane ka hun main ek hansi ka maqruz jis ki padash mein ek umr rulaya gaya hun masala yun hi nahin pesh fishaar-e-khun ka khud se uljhaya gaya aur ladaya gaya hun ajnabi log zamin-zad nahin lagte hain aur sayyare pe shayad main basaya gaya hun confucius ho ki nanak ho ki buddha gautam so tariqon se sabaq ek padhaya gaya hun lakh pardon mein sahi meri haqiqat malfuf main ba-har-rang zamane ko dikhaya gaya hun mujh ko mahaul muafiq nahin aaya 'jazib' phul hun aur sar-e-dasht khilaya gaya hun