roz-e-azal se jari sajaon ka silsila phir bhi thama nahin hai khataon ka silsila qaem hai ab bhi meri wafaon ka silsila ek silsila hai un ki jafaon ka silsila ab ashk-bar hote nahin hain duaon mein nakaam yun hua hai duaon ka silsila panw tale zamin na mila aasman koi mera safar hai jaise khalaon ka silsila aazad ho chuki hun har ek silsile se main le jae ab kahin bhi hawaon ka silsila khud sakhta khudaon ne jina kiya muhaal rab jaane kab rukega khudaon ka silsila muflis ki zindagi to hai muflis ki zindagi khamosh an-kahi si sadaon ka silsila