roz-o-shab ka nisab lagti hai

roz-o-shab ka nisab lagti hai
zindagi ek kitab lagti hai

dosto kya tumhein meri surat
khasta-haal-o-kharab lagti hai

ishq mein umr jo guzari hai
ab sunahra sa khwab lagti hai

kya kaha wo sin-e-bulughat mein
aur bhi pur-shabab lagti hai

ye teri aankh mein chhupi masti
mujh ko mauj-e-sharab lagti hai

gidgida kar dua jo mangi thi
kya tumhein mustajab lagti hai

jis mein us ki na yaad ho 'shafi'
aisi saat azab lagti hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close