ru-ba-ru sab hain koi gosh-bar-awaz nahin

ru-ba-ru sab hain koi gosh-bar-awaz nahin
ye wo anjam hai jis ka abhi aaghaz nahin

arsa-e-hashr hai yarab ki hai bazm-e-giti
kisi aawaz mein shamil koi aawaz nahin

waqt mujh ko nazar-andaz nahin kar sakta
main abhi waqt ke aage sipar-andaz nahin

dil-e-har-zarra ki dhadkan mein samak ta-ba-sama
bazgasht us ki hai jis ki koi aawaz nahin

kya yahi shahr-e-mohabbat hai jahan mere liye
wa ek aaghosh nahin ek bhi dar baz nahin

saz-e-hasti ke pas-e-parda ba-andaz-e-kashish
koi aahang koi lai koi aawaz nahin

ruh masruf-e-pazirai hai kis ki 'athar'
koi aahat koi dastak koi aawaz nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close