ru-ba-ru sina-ba-sina pa-ba-pa aur lab-ba-lab nachti shab mein barahna ho gae kyun sab ke sab khud-kushi kar li bhare gulshan mein jis ne be-sabab main ne sikha hai usi hamraaz se jine ka dhab hanste hanste ruh ki aawaz pagal ho gai gumbadon ki khamushi ne der tak khole na lab pi rahe hain khushnuma shishon mein log apna lahu aur kya hoga anokhe rang ka jashn-e-tarab ai mohabbat ab to lauta de mere sajde mujhe marte dam tak zindagi karti rahi tera adab lash suraj ki siyah kamre mein thi latki hui mere ghar ka qufl khola shab ki tanhai ne jab 'prem' teri shaeri hai ya muqaddas ju-e-shir tisha-e-takhliq jis se dad karta hai talab