ru-e-taban mang mu-e-sar dhuan batti charagh kya nahin insan ki gardan par dhuan batti charagh kuchh na puchho zahidon ke batin-o-zahir ka haal hai andhera ghar mein aur bahar dhuan batti charagh dud-e-afghan-o-rag-e-jaan-o-suwaida dil mein hai band hai qindil ke andar dhuan batti charagh tur par ja kar charagh-e-tur kyun dekhe koi kya makanon mein nahin patthar dhuan batti charagh ho muafiq kyunkar ai parwane saya-gustari hai mukhalif zer-e-baal-o-par dhuan batti charagh kanpta hai hath tasir-e-dil-e-betab se main karun raushan to ho muztar dhuan batti charagh surat-e-bakhshish dikhawen kaghaz-o-satr-o-huruf ho amal-nama sar-e-mahshar dhuan batti charagh khizr hai bahri musafir ka manar-e-raushni hai jahazon ke liye rahbar dhuan batti charagh kya zarurat raushni ki be-khudi ki bazm mein zulf-e-saqi mauj-e-mai saghar dhuan batti charagh shoala-ruyon ke muqabil rang jamta hi nahin ud na jae bazm se ban kar dhuan batti charagh kis saliqe se hai raushan mahfil-e-arz-o-sama aasman par chand hai ghar ghar dhuan batti charagh subh tak karte rahe raushan dilon se hamsari sham se raushan nafas ho kar dhuan batti charagh ishq ki garmi ne phunka parde parde mein mujhe meri chadar mein mera bistar dhuan batti charagh zulf-o-rukhsar-o-nazar hain dushman-e-iman-o-din lutne nikle hain wo le kar dhuan batti charagh main wo tair hun jo hun kam-kharch aur baala-nashin ek jugnu yan hai aur ghar ghar dhuan batti charagh shab ko 'mail' waqt-e-araish musahib the yahi phul surma aaina zewar dhuan batti charagh