rudad-e-jaan kahen jo zara dam mile hamein

rudad-e-jaan kahen jo zara dam mile hamein
us dil ke raste mein kai kham mile hamein

labbaik pahle hum ne kaha tha rasul-e-husn
ho kar-zar-e-ishq to parcham mile hamein

aae ek aisa zakhm jo bharna na ho kabhi
yani har ek zakhm ka marham mile hamein

din mein jahan sarab mile the hamein wahan
aai jo raat qatra-e-shabnam mile hamein

tum jaise aur log bhi honge jahan mein
ye baat aur hai ki bahut kam mile hamein

jab sath the to mil ke bhi milna na ho saka
jab se bichhad gae ho to paiham mile hamein

aur phir hamein bhi khud pe bahut pyar aa gaya
us ki taraf khade hue jab hum mile hamein

jo umr-bhar ka sath nibhata na mil saka
waise to zindagi mein bahut gham mile hamein


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close