ruh bakhshi hai kaam tujh lab ka dam-e-isa hai nam tujh lab ka husn ke khizr ne kiya labrez aab-e-haiwan sun jam tujh lab ka mantiq-o-hikmat-o-maani par mushtamil hai kalam tujh lab ka jannat-e-husn mein kiya haq ne hauz-e-kausar maqam tujh lab ka rag-e-yaqut ke qalam sun likhen khat paristan payam tujh lab ka sabza-o-barg-o-lala rakhte hain shauq dil mein dawam tujh lab ka gharq-e-shakkar hue hain kaam-o-zaban jab liya hun main nam tujh lab ka misl-e-yaqut khat mein hai shagird saghar-e-mai mudam tujh lab ka hai 'wali' ki zaban ko lazzat-bakhsh zikr har subh-o-sham tujh lab ka