ruh ke jalte kharabe ka mudawa bhi nahin dard wo baadal hai jo khul kar barasta bhi nahin shahr ke zindan ne pahna din wo zanjiren mujhe meri wahshat ko mayassar dil ka sahra bhi nahin jis mein bah jae safine ki tarah mera wajud meri aankhon se rawan gham ka wo dariya bhi nahin karb ka suraj siwa neze pe hai thahra hua dil mera hai barf-zar aisa pighalta bhi nahin mujh ko yakjai ki hasrat se bhala kya wasta main to ji bhar kar sar-e-afaq bikhra bhi nahin muddaton dar par mere wo dastaken deta raha main magar wo nind ka mata ki chaunka bhi nahin