rukh-e-raushan dikhaiye sahab shama ko kuchh jalaiye sahab ruh ho kar samaiye sahab mere qalib mein aaiye sahab shaikh-ji ho tumhein surud haram aap apni na gaiye sahab wasl ki shab qarib aai hai ab na mehndi lagaiye sahab khun-e-ushshaq hai maani mein shauq se pan khaiye sahab main tajalli-e-tur dekhunga aaj kothe pe aaiye sahab aap dil mein bigad rakhte hain bas na baaten banaiye sahab chashm-e-tar rone par hai aamada aur sukhi sunaiye sahab bosa-e-rukh to chahte ho 'sakhi' kahin munh ki na khaiye sahab